(Kyoon bekhudi si chhaayi hai
Kyoon aag si lagaayi hai aapne) - 2
Oh hum ho gaye aap ke
Oh ho ho, hum ho gaye aap ke
--FEMALE--
Ho, mera hosh bhi udaaya hai
Meri neend bhi churaayi hai aapne
Mera hosh bhi udaaya hai
Meri neend bhi churaayi hai aapne
Oh hum ho gaye aap ke - 2
--MALE--
Pehle aise kabhi dil dhadakta na tha
Bewajaa is tarah se yeh tadapta na tha
--FEMALE--
Dard aisa kabhi bhi mujhko hota na tha
Har ghadi yun mera chain khota na tha
Aah, aah ha, aah ha aah aah aah
--MALE--
Meri jaan pe ban aayi hai
Haalat yeh kya banaayi hai aapne
Ho, hum ho gaye aap ke - 2